Valsad Online
Join Telegram Valsad ValsadOnline
Dard Shayari Shayari

Dard Shayari

Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.(Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.(Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.(Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..

Related posts

Dard Shayari

ValsadOnline

Dard Shayari

ValsadOnline

Dard Shayari

ValsadOnline